Thursday, November 15, 2012

malakhedi me navratri

malakhedi me navratri ki kafi dhoom hoti hai, yaha par kafi ullas ke saath navdurga ka tyohar manate hai...aaiye dekhte hai jhaankiya .................

malakhedi ki chhind yatra

aaj date 8/11/12 ko ssd center se sare student chhind ke liye rabana hue,,kafi aanand lene ke baad baapas aa gaye....................

malakhedi ke sankar ji

malakhedi ke sankarji kafi prashidh hai .ward no. 16 ke sankar ji par vises karykram aayojit hota hai..

Tuesday, July 24, 2012

malakhedi me chamatkar

Malakhedi me ward no 16 me ek chamatkar huaa . malakhedi me sankar mandir par 12/07/12 ko ye chamatkar huaa.is mandir par sangmarmar ke nandi maharaj ne doodh piya ............

Wednesday, July 18, 2012

Malakhedi ki dudharu gaay (cow)

Malakhedi me pratyek ghar me 1 cow mil jayegi har ghar ki gaay 1-2 leter tak doodh deti hai .yaha  par mavesi ki sankhya 800 hai . yaha doodh ki kami nahi hai.diwali ke samay cow ko new new colour se rangte hai.

malakhedi chowk par aam shop

Malakhedi me azad chowk par mango ke thele lage rahte hai .koi vyakti kabhi bhi aam ki khariddari kar sakta hai.aam ke thele subah se saam tak lage rahte hai.....

malakhedi me ret ki pindi

malakhedi me rahne baale bachche new new type ke game khelte hai.kabhi tree par chadte hai .kabhi patthar ke guppe khelte hai.kabhi kabhi ret par shivling (pindi ) banate hai.

Malakhedi me panchar shop


malakhedi me chowk par ek panchar ki shop hai .is shop par tracter ,traali ,gadi moter aadi ke panchar banaye jaate hai .24 hours ye suvidha pradaan ki jaati hai.

malakhedi ka pan center

malakhedi me pan ki dukan ki bharmar  hai .yaha par har chowk par pan ki dukan hai .pan ki dukano par pan khane baalo ki kafi bheed lagi rahti hai..gutka pauch energy ka sadhan mana jata hai.

Hoshangabad iti,

Hoshangabad me pahadiya road par iti hai,yaha par nimn trade hai,fitter,ilectrician,tarnar,machinist,motor machenic,tractor machenic etc,,,,