Tuesday, July 24, 2012

malakhedi me chamatkar

Malakhedi me ward no 16 me ek chamatkar huaa . malakhedi me sankar mandir par 12/07/12 ko ye chamatkar huaa.is mandir par sangmarmar ke nandi maharaj ne doodh piya ............

Wednesday, July 18, 2012

Malakhedi ki dudharu gaay (cow)

Malakhedi me pratyek ghar me 1 cow mil jayegi har ghar ki gaay 1-2 leter tak doodh deti hai .yaha  par mavesi ki sankhya 800 hai . yaha doodh ki kami nahi hai.diwali ke samay cow ko new new colour se rangte hai.

malakhedi chowk par aam shop

Malakhedi me azad chowk par mango ke thele lage rahte hai .koi vyakti kabhi bhi aam ki khariddari kar sakta hai.aam ke thele subah se saam tak lage rahte hai.....

malakhedi me ret ki pindi

malakhedi me rahne baale bachche new new type ke game khelte hai.kabhi tree par chadte hai .kabhi patthar ke guppe khelte hai.kabhi kabhi ret par shivling (pindi ) banate hai.

Malakhedi me panchar shop


malakhedi me chowk par ek panchar ki shop hai .is shop par tracter ,traali ,gadi moter aadi ke panchar banaye jaate hai .24 hours ye suvidha pradaan ki jaati hai.

malakhedi ka pan center

malakhedi me pan ki dukan ki bharmar  hai .yaha par har chowk par pan ki dukan hai .pan ki dukano par pan khane baalo ki kafi bheed lagi rahti hai..gutka pauch energy ka sadhan mana jata hai.

Hoshangabad iti,

Hoshangabad me pahadiya road par iti hai,yaha par nimn trade hai,fitter,ilectrician,tarnar,machinist,motor machenic,tractor machenic etc,,,,  

Thursday, July 12, 2012

hoshangabad ka param hans ghaat

Hoshangabad me param hans ghaat par saadiya bahut adhik hoti hai.isi ghaat par bhandaare bhi bahut adhik  hote hai.is ghaat par kood kood kar nahane me jyada maja aata hai .is ghaat par beggar log bhi baithe huye rahte hai.....dekhiye ek najara bhandare ke sammya ka ...

Hoshangabad ka Sethani ghaat


hoshangabad me sabse famous ghaat sethani ghaat hai.is ghaat par hamesa bheed lagi rahti hai.is ghaat par niyamit roop se aarti ki jaati hai. is ghaat par saam ke samay jana kafi achchha lagta hai. is ghaat par narmada jayanti ke din to mela lag jata hai .narmada jayanti ka najara dekhne layak rahta hai...

hosangabad ki genius academy

hoshangabad me kamakhya garden ke saamne ek english spoken ki class hai.is english class me lagbhag 100 student aate hai .yaha 3 month me poora course kiya jata hai .yaha english bolna seekhna bahut aasan hai. ye academy  me keval english bolna sikhati hai...yaha convercetion par jyada dhyan diya jata hai....

Malakhedi me saadi

malakhedi me saadi me anand lena har kisi ko achchha lagta hai.yaha par saadi me jo anand aata vaha anand sayad hi kahi aata ho .malakhedi me preetibhoj me khana khane me sabse adhik maja aata hai.to aap ek yadav parivaar ki saadi ki ek rasm ko dekh rahe hai.....